vo ik nazar se mujhe be-asās kar degā
mire yaqīn ko merā qayās kar degā
maiñ jab bhī us kī udāsī se uub jā.ūñgī
to yuuñ hañsegā ki mujh ko udaas kar degā
milā ke mujh se nigāheñ vo merī nazroñ ke
zarā sī der meñ ḳhālī gilass kar degā
phir is tarah se rahegā mire ḳhayāloñ meñ
ki merī pyaas ko dariyā kī pyaas kar degā
maiñ us kī gard haTāte hue bhī Dartī huuñ
vo ā.īna hai mujhe ḳhud-shanās kar degā
maiñ us ke sāmne uryāñ lagūñgī duniyā ko
vo mere jism ko merā libās kar degā
vo māhtāb-sifat sirf raushnī hī nahīñ
mujhī ko raat kā manzar bhī ḳhaas kar degā