haTā ke mez se ik roz ā.īna maiñ ne
phir apne-āp se rakkhā na vāsta maiñ ne
jab apne-āp se pahchān apnī kho ke milī
to ḳhud hī kaaT diyā apnā rāsta maiñ ne
maiñ kam-sinī meñ bhī guḌiyā kabhī nahīñ khelī
paloñ meñ tai kiyā barsoñ kā fāsla maiñ ne
charāġh huuñ mujhe jab dhuup raas aa na sakī
to ḳhud sikoḌ liyā apnā dā.era maiñ ne
maiñ apne aap meñ huuñ yā nahīñ, kabhī apnā
kisī ko Thiik batāyā nahīñ pata maiñ ne
ajiib kyā jo bikherā nahīñ sameT ke phir
tamām umr umīdoñ kā silsila maiñ ne