Aziz Bano Darab Wafa

thakan se chur hun lekin rawan-dawan hun main

Aziz Bano Darab Wafa

Uttar pradesh, India

1926-2005
thakan se chuur huuñ lekin ravāñ-davāñ huuñ maiñ
na.ī sahar ke charāġhoñ kā kārvāñ huuñ maiñ
havā.eñ mere varaq lauT lauT detī haiñ
na jaane kitne zamānoñ kī dāstāñ huuñ maiñ
har ek shahr-e-nigārāñ samajh rahā hai mujhe
zarā qarīb se dekho dhuāñ dhuāñ huuñ maiñ
kisī se bhiiḌ meñ chehra badal gayā hai mirā
to saare ā.ina-ḳhānoñ se bad-gumāñ huuñ maiñ
maiñ apnī guuñj meñ khoī huuñ ek muddat se
mujhe ḳhabar nahīñ kuchh kaun huuñ kahāñ huuñ maiñ
ḳhud apnī diid se mahrūm hai nazar merī
azal se sūrat-e-nazzāra darmiyāñ huuñ maiñ
mirā vajūd-o-adam raaz hai hamesha se
vahāñ vahāñ bhī nahīñ huuñ jahāñ jahāñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com