Aziz Bano Darab Wafa

ek diye ne sadiyon kya kya dekha hai batlae kaun

Aziz Bano Darab Wafa

Uttar pradesh, India

1926-2005
ek diye ne sadiyoñ kyā kyā dekhā hai batlā.e kaun
chhoḌo agle vaqtoñ ke qisse phir se dohrā.e kaun
ab bhī khaḌī hai soch meñ Duubī ujyāloñ kā daan liye
aaj bhī rekhā paar hai rāvan siitā ko samjhā.e kaun
apnā apnā aasan chhoḌ ke har mūrat uTh aa.ī hai
sone kī dīvāroñ meñ rah kar pāthar kahlā.e kaun
jis ne diye kī kālak ko bhī māthe kā sindūr kiyā
apne ghar kī us dīvār se apnā bhed chhupā.e kaun
jaane kitne raaz khuleñ jis din chehroñ kī raakh dhule
lekin sādhū-santoñ ko dukh de kar paap kamā.e kaun
ek nayā sapnā bantā hai aur ban kar is soch meñ hai
sadiyoñ se aapas meñ uljhe dhāgoñ ko suljhā.e kaun
ab bhī buzurgoñ kī bāteñ sun kar achchhā to lagtā hai
par in girtī dīvāroñ se apnī piiTh lagā.e kaun
Top Urdushayar.com