apnī biitī huī rañgīn javānī degā
mujh ko tasvīr bhī degā to purānī degā
chhoḌ jā.egā mire jism meñ bikhrā ke mujhe
vaqt-e-ruḳhsat bhī vo ik shaam suhānī degā
umr bhar maiñ koī jaadū kī chhaḌī DhūñDūñgī
merī har raat ko pariyoñ kī kahānī degā
ham-safar miil kā patthar nazar aa.egā koī
fāsla phir mujhe us shaḳhs kā saanī degā
mere māthe kī lakīroñ meñ izāfa kar ke
vo bhī maazī kī tarah apnī nishānī degā
maiñ ne ye soch ke bo.e nahīñ ḳhvāboñ ke daraḳht
kaun jañgal meñ lage peḌ ko paanī degā