Aziz Bano Darab Wafa

tu aaya to dwar bhiDe the dip bujha tha aangan ka

Aziz Bano Darab Wafa

Uttar pradesh, India

1926-2005
tū aayā to dvaar bhiḌe the diip bujhā thā āñgan kā
sudh bisrāne vaale mujh ko hosh kahāñ thā tan man kā
jaane kin zulfoñ kī ghaTā.eñ chhā.ī haiñ merī nazroñ meñ
rote rote bhiig chalā is saal bhī āñchal sāvan kā
thoḌī der meñ thak jā.eñge nīl-kamal sī rain ke paañv
thoḌī der meñ tham jā.egā raag nadī ke jhāñjhan kā
phir bhī merī bāñhoñ kī ḳhushbū har Daal pe lachkegī
har taarā hiirā sā lagegā mujh ko mere kañgan kā
tum aao to ghar ke saare diip jalā duuñ lekin aaj
merā jaltā dil hī akelā diip hai mere āñgan kā
Top Urdushayar.com