alāva ik chubhan ke kyā hai ḳhud se rābta merā
bikhar jaatā hai mujh meñ TuuT ke har ā.īna merā
ulajh ke mujh meñ apne-āp ko suljhā rahā hai jo
na jaane ḳhatm kar baiThe kahāñ par silsila merā
mujhe chakhte hī kho baiThā vo jannat apne ḳhvāboñ kī
bahut miltā huā thā zindagī se zā.iqa merā
maiñ kal aur aaj meñ haa.el koī nādīda vaqfa huuñ
mire ḳhvāboñ se naapā jā rahā hai fāsla merā
vo kaisā shahr thā mānūs bhī thā ajnabī bhī thā
ki jis kī ik galī meñ kho gayā mujh se patā merā
palaT aatā hai har din ghar kī jānib shaam Dhalte hī
kisī be-nām bastī se guzar ke rāstā merā
ye maiñ huuñ yā mirā saaya mirā saaya hai yā maiñ huuñ
ajab sī dhund meñ lipTā huā hai hāfiza merā
hañsī aa.ī thī apnī bebasī par ek din mujh ko
abhī tak gūñjtā hai mere andar qahqaha merā