liyā hai kis qadar saḳhtī se apnā imtihāñ ham ne
ki ik talvār rakh dī zindagī ke darmiyāñ ham ne
hameñ to umr bhar rahnā thā ḳhvāboñ ke jazīroñ meñ
kināroñ par pahuñch kar phūñk Dālīñ kashtiyāñ ham ne
hamāre jism hī kyā saa.e tak jismoñ ke zaḳhmī haiñ
diloñ meñ ghoñp liiñ haiñ raushnī kī barchhiyāñ ham ne
hameñ dī jā.egī phāñsī hamāre apne jismoñ meñ
ujāḌī haiñ tamannāoñ kī lākhoñ bastiyāñ ham ne
vafā ke naam par pairā kiye kachche ghaḌe le kar
Duboyā zindagī ko dāstāñ-dar-dāstāñ ham ne