ham koī nādān nahīñ ki bachchoñ kī sī baat kareñ
jiinā koī khel nahīñ hai baiTho tuk kī baat kareñ
shiv to nahīñ ham phir bhī ham ne duniyā bhar ke zahr piye
itnī kaḌvāhaT hai muñh meñ kaise mīThī baat kareñ
ham ne sab ko muflis pā ke toḌ diyā dil kā kashkol
ham ko koī kyā de degā kyuuñ muñh-dekhī baat kareñ
ham ne kab ye gur sīkhā ham Thahre sīdhe-sāde log
jis kī jaisī fitrat dekheñ us se vaisī baat kareñ