ye hausla bhī kisī roz kar ke dekhūñgī
agar maiñ zaḳhm huuñ us kā to bhar ke dekhūñgī
kisī taraf koī ziina nazar nahīñ aatā
maiñ us ke zehn meñ kyūñ-kar utar ke dekhūñgī
maiñ raushnī huuñ to merī pahuñch kahāñ tak hai
kabhī charāġh ke nīche bikhar ke dekhūñgī
sunā dorāhe pe ummīd ke sarā.e hai ek
maiñ apnī raah usī meñ Thahar ke dekhūñgī