Aziz Bano Darab Wafa

paDa hai zindagi ke is safar se sabiqa apna

Aziz Bano Darab Wafa

Uttar pradesh, India

1926-2005
paḌā hai zindagī ke is safar se sābiqa apnā
jahāñ chaltā hai apne saath ḳhālī rāsta apnā
kisī dariyā kī sūrat bah rahī huuñ apne andar maiñ
mirā sāhil baḌhātā jā rahā hai fāsla apnā
luTā ke apnā chehra tak rahī huuñ apnā muñh jaise
koī pāgal ulaT ke dekhtā ho ā.īna apnā
ye bastī log kahte haiñ mire ḳhvāboñ kī bastī hai
gañvā baiThī huuñ meñ bad-qismatī se hāfiza apnā
ga.e mausam meñ maiñ ne kyuuñ na kaaTī fasl ḳhvāboñ kī
maiñ ab jaagī huuñ jab phal kho chuke haiñ zā.iqa apnā
fasāna-dar-fasāna phir rahī hai zindagī jab se
kisī ne likh diyā hai tāq-e-nisyāñ par pata apnā
Top Urdushayar.com