kabhī gokul kabhī rādhā kabhī mohan ban ke
maiñ ḳhayāloñ meñ bhaTaktī rahī jogan ban ke
har janam meñ mujhe yādoñ ke khilaune de ke
vo bichhaḌtā rahā mujh se mirā bachpan ban ke
mere andar koī taktā rahā rasta us kā
maiñ hamesha ke liye rah ga.ī chilman ban ke
zindagī bhar maiñ khulī chhat pe khaḌī bhīgā kī
sirf ik lamha barastā rahā sāvan ban ke
merī ummīdoñ se lipTe rahe andeshoñ ke saañp
umr har daur meñ kaTtī rahī chandan ban ke
is tarah merī kahānī se dhuāñ uThtā hai
jaise sulge koī har lafz meñ īñdhan ban ke