aap bhī ret kā malbūs pahan kar dekheñ
ham vo pyāse haiñ na sahrā na samundar dekheñ
ik zarā Dher meñ kuuḌe ke bhī chhup kar dekheñ
log hiirā hameñ samjhe haiñ ki patthar dekheñ
ham meñ jo shaḳhs hai us se nahīñ bantī apnī
ab to rahne ke liye aur koī ghar dekheñ
shor be-samt sadāoñ kā kuchh aisā hai ki ham
apne andar kabhī jhāñkeñ kabhī bāhar dekheñ