lahū se uTh ke ghaTāoñ ke dil baraste haiñ
badan chhatoñ kī tarah dhuup meñ jhulaste haiñ
ham aise peḌ haiñ jo chhāñv bāñdh kar rakh deñ
shadīd dhuup meñ ḳhud saa.e ko taraste haiñ
har ek jism ke chāroñ taraf samundar hai
yahāñ ajiib jazīroñ meñ log baste haiñ
sabhī ko dhun hai ki shīshe ke bām-o-dar hoñ magar
ye dekhte nahīñ patthar abhī baraste haiñ
bahā ke le gayā sailāb rāste jin ke
vo shahr apne ḳhayāloñ meñ ab bhī baste haiñ
ma.aal kyā hai ujāloñ ke un dafīnoñ kā
jinheñ chhueñ to añdheroñ ke naag Daste haiñ
ajiib log haiñ kāġhaz kī kashtiyāñ gaḌ.h ke
samundaroñ kī balā-ḳheziyoñ pe hañste haiñ