TaToltā huā kuchh jism o jaan tak pahuñchā
vo aadmī jo mirī dāstān tak pahuñchā
kisī janam meñ jo merā nishāñ milā thā use
patā nahīñ ki vo kab us nishān tak pahuñchā
maiñ sirf ek ḳhalā thii, jahāñ fazā na havā
jab aarzū kā parinda uḌaan tak pahuñchā
na jaane raah meñ kyā us pe hādsa guzrā
ki umr bhar na nazar se zabān tak pahuñchā
ye kam-nasīb bhaTaktā huā añdheroñ meñ
kabhī yaqīn kabhī phir gumān tak pahuñchā
vo jis meñ hadd-e-nazar tak charāġh jalte the
vo rāsta hī faqat darmiyān tak pahuñchā