Aziz Bano Darab Wafa

wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujhko

Aziz Bano Darab Wafa

Uttar pradesh, India

1926-2005
vo ye kah kah ke jalātā thā hamesha mujh ko
aur DhūñDegā kahīñ mere alāva mujh ko
kis qadar us ko sarāboñ ne satāyā hogā
duur hī se jo samajhtā rahā chashma mujh ko
merī ummīd ke sūraj ko Dubo ke har shaam
vo dikhātā rahā dariyā kā tamāsha mujh ko
jab kisī raat kabhī baiTh ke mai-ḳhāne meñ
ḳhud ko bāñTegā to degā mirā hissa mujh ko
phir sajā degā vo yādoñ ke ajā.ib-ghar meñ
soch kar ahd-e-junūñ kā koī sikka mujh ko
mere ehsās ke dozaḳh meñ sulagne ke liye
chhoḌ degā mire ḳhvāboñ kā farishta mujh ko
phir ye hogā ki kisī din kahīñ kho jā.egā
ik dorāhe pe biThā ke mirā rasta mujh ko
log kahte haiñ ki jaadū kī saḌak hai maazī
muḌ ke dekhūñgī to ho jā.egā sakta mujh ko
sabz mausam kī ināyat kā bharosā bhī nahīñ
kab uḌā de ye havā jaan ke pattā mujh ko
vaqt hākim hai kisī roz dilā hī degā
dil ke sailāb-zada shahr pe qabza mujh ko
maiñ na lailā huuñ na rakhtā hai vo majnūñ kā mizāj
us ne chāhā hai magar mere alāva mujh ko
Top Urdushayar.com