Rais Farogh

hawas ka rang ziyaada nahin tamanna mein

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
havas kā rañg ziyāda nahīñ tamannā meñ
abhī ye mauj hai begānagī ke sahrā meñ
samundaroñ meñ sitāroñ kī aag phailī hai
mahak rahā hai lahū lazzat-e-nazāra meñ
havā ne abr-e-bahārāñ se bevafā.ī kī
ḳhabar karo kisī ārām-gāh-e-tanhā meñ
diloñ ke band darīchoñ se jhāñk kar dekho
kisī fasād kī parchhā.iyāñ haiñ duniyā meñ
fareb thā jo mujhe zo.am-e-be-karānī thā
udaas haiñ mire sāhil firāq-e-dariyā meñ
mujhe to ek tirā husn hī bahut hai magar
tire liye bhī bahut kuchh hai ḳhvāb-e-fardā meñ
Top Urdushayar.com