Rais Farogh

phul zamin par gira phir mujhe nind aa gai

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
phuul zamīn par girā phir mujhe niiñd aa ga.ī
duur kisī ne kuchh kahā phir mujhe niiñd aa ga.ī
abr kī oT meñ kahīñ narm sī dastakeñ huiiñ
saath hī koī dar khulā phir mujhe niiñd aa ga.ī
raat bahut havā chalī aur shajar bahut Dare
maiñ bhī zarā zarā Darā phir mujhe niiñd aa ga.ī
aur hī ek samt se aur hī ik maqām par
gard ne shahr ko chhuā phir mujhe niiñd aa ga.ī
apne hī ek ruup se taaza suḳhan ke darmiyāñ
maiñ kisī baat par hañsā phir mujhe niiñd aa ga.ī
tū kahīñ ās-pās thā vo tirā iltibās thā
maiñ use dekhtā rahā phir mujhe niiñd aa ga.ī
ek ajab firāq se ek ajab visāl tak
apne ḳhayāl meñ chalā phir mujhe niiñd aa ga.ī
Top Urdushayar.com