Rais Farogh

saDkon pe ghumne ko nikalte hain sham se

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
saḌkoñ pe ghūmne ko nikalte haiñ shaam se
aaseb apne kaam se ham apne kaam se
nashshe meñ Dagmagā ke na chal sīTiyāñ bajā
shāyad koī charāġh utar aa.e baam se
dam kyā lagā liyā hai ki saare dukān-dār
chakhne meñ lag rahe haiñ mujhe tursh aam se
ġhusse meñ dauḌte haiñ Trak bhī lade hue
maiñ bhī bharā huā huuñ bahut intiqām se
dushman hai ek shaḳhs bahut ek shaḳhs kā
haañ ishq ek naam ko hai ek naam se
mere tamām aks mire karr-o-farr ke saath
maiñ ne bhī sab ko dafn kiyā dhūm-dhām se
mujh be-amal se rabt baḌhāne ko aa.e ho
ye baat hai agar to ga.e tum bhī kaam se
Dar to ye hai huī jo kabhī din kī raushnī
us raushnī meñ tum bhī lagoge avaam se
jis din se apnī baat rakhī shā.erī ke biich
maiñ kaT ke rah gayā sho.arā-e-karām se
Top Urdushayar.com