apnī miTTī ko sar-afrāz nahīñ kar sakte
ye dar-o-bām to parvāz nahīñ kar sakte
ālam-e-ḳhvāhish-o-tarġhīb meñ rahte haiñ magar
terī chāhat ko subū-tāzh nahīñ kar sakte
husn ko husn banāne meñ mirā haath bhī hai
aap mujh ko nazar-andāz nahīñ kar sakte
shahr meñ ek zarā se kisī ghar kī ḳhātir
apne sahrāoñ ko nārāz nahīñ kar sakte
ishq vo kār-e-musalsal hai ki ham apne liye
ek lamha bhī pas-andāz nahīñ kar sakte