garm zamīñ par aa baiThe haiñ ḳhushk lab-e-mahrūm liye
paanī kī ik buuñd na paa.ī bādal bādal ghuum liye
saj rahe hoñge nāzuk paude chal rahī hogī narm havā
tanhā ghar meñ baiThe baiThe soch liyā aur jhuum liye
āñgan kī mānūs fazā meñ ḳhvāboñ ne zanjīr bunī
ba.ad meñ jhuk kar apne saa.e dīvāroñ ne chuum liye
maiñ ne kitne raste badle lekin har raste meñ 'faroġh'
ek añdherā saath rahā hai raushniyoñ ke hujūm liye