hama-vaqt jo mire saath haiñ ye ubharte Dūbte saa.e se
kisī raushnī ke sarāb haiñ ki mile har apne parā.e se
ḳham-e-jāda se maiñ piyāda-pā kabhī dekh letā huuñ ḳhvāb-sā
kahīñ duur jaise dhuāñ uThā kisī bhūlī-bisrī sarā.e se
uThī mauj-e-dard to yak-ba-yak mire ās-pās bikhar ga.e
mah-e-nīm-shab ke idhar udhar jo laraz rahe the kinā.e se
milā mujh ko raah meñ ik nagar jahāñ koī shaḳhs na thā magar
vo zamīñ shagufta shagufta sī vo makāñ nahā.e nahā.e se
mire kār-zār-e-hayāt meñ rahe umr-bhar ye muqāble
kabhī saaya dab gayā dhuup se kabhī dhuup dab ga.ī saa.e se