Rais Farogh

galiyon mein aazar bahut hain ghar mein ji ghabraata hai

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
galiyoñ meñ āzār bahut haiñ ghar meñ jī ghabrātā hai
hañgāme se sannāTe tak apnā haal tamāshā hai
bojhal āñkheñ kab tak āḳhir niiñd ke vaar bachā.eñgī
phir vahī sab kuchh dekhnā hogā sub.h se jo kuchh dekhā hai
dhuup musāfir chhāñv musāfir aa.e koī koī jaa.e
ghar meñ baiThā soch rahā huuñ āñgan hai yā rasta hai
aadhī umr ke pas-manzar meñ shāna-ba-shāna gām-ba-gām
tū hai ki terī parchhā.īñ hai maiñ huuñ ki merā saaya hai
ham sāhil kī sard havā meñ ḳhvāboñ se uljhe haiñ 'faroġh'
aur hamāre naam kā dariyā sahrā sahrā bahtā hai
Top Urdushayar.com