rātoñ ko din ke sapne dekhūñ din ko bitā.ūñ sone meñ
mere liye koī farq nahīñ hai hone aur na hone meñ
barsoñ ba.ad use dekhā to āñkhoñ meñ do hiire the
aur badan kī saarī chāñdī chhupī huī thī sone meñ
dhartī terī gahrā.ī meñ hoñge mīThe sot magar
maiñ to sarf huā jaatā huuñ kañkar patthar Dhone meñ
ghar meñ to ab kyā rakkhā hai vaise aao talāsh kareñ
shāyad koī ḳhvāb paḌā ho idhar udhar kisī kone meñ
saa.e meñ saaya ulajh rahā thā chāhat ho ki adāvat ho
duur se dekho to lagte the sūraj chāñd bichhaune meñ