apne hī shab o roz meñ ābād rahā kar
ham log bure log haiñ ham se na milā kar
shāyad kisī āvāz kī ḳhushbū nazar aa.e
āñkheñ haiñ to ḳhvāboñ kī tamannā bhī kiyā kar
bātoñ ke liye shikva-e-mausam hī bahut hai
kuchh aur kisī se na kahā kar na sunā kar
sone de unheñ rañg jo so.e haiñ badan meñ
āvāra havāoñ ko na mahsūs kiyā kar
tū sub.h-e-bahārāñ kā hasīñ ḳhvāb hai phir bhī
āhista zarā os kī būñdoñ pe chalā kar