kitnī hī bārisheñ hoñ shikāyat zarā nahīñ
sailāniyoñ ko ḳhatra-e-sail-e-balā nahīñ
maiñ ne bhī ek harf bahut zor se kahā
vo shor thā magar ki kisī ne sunā nahīñ
lākhoñ hī baar bujh ke jalā dard kā diyā
so ek baar aur bujhā phir jalā nahīñ
vaise to yaar maiñ bhī taġhayyur-pasand huuñ
chhoTā sā ek ḳhvāb mujhe bhūltā nahīñ
us din havā-e-sub.h ye kahtī huī ga.ī
'yūsuf'-miyāñ ke sāñvle beTe meñ kyā nahīñ