dhuup meñ ham haiñ kabhī ham chhāñv meñ
rāste uljhe hue haiñ paañv meñ
bastiyoñ meñ ham bhī rahte haiñ magar
jaise āvāra havā sahrāoñ meñ
ham ne apnāyā daraḳhtoñ kā chalan
ḳhud kabhī baiThe na apnī chhāñv meñ
kis qadar nādān haiñ ahl-e-jahāñ
ham gine jaane lage dānāoñ meñ
sāmne kuchh der lahrāte rahe
phir vo sāhil bah ga.e dariyāoñ meñ
ik yahī duniyā badaltī hai 'faroġh'
kaisī kaisī ajnabī duniyāoñ meñ