Rais Farogh

ghar mein sahra hai to sahra ko KHafa kar dekho

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
ghar meñ sahrā hai to sahrā ko ḳhafā kar dekho
shāyad aa jaa.e samundar ko bulā kar dekho
dasht kī aag baḌī chiiz hai āñkhoñ ke liye
shahr bhī ḳhuub hī jaltā hai jalā kar dekho
tum ne ḳhushbū se kabhī ahd-e-vafā bāñdhā hai
raushnī ko kabhī bistar meñ liTā kar dekho
kis ne toḌā hai zamīñ aur qadam kā rishta
aaj kī raat yahī khoj lagā kar dekho
ye baraste hue bādal to na sone deñge
koī bachpan kī kahānī hī sunā kar dekho
hijr achchhā hai na ab us kā visāl achchhā hai
is liye aur kahīñ ishq laḌā kar dekho
Top Urdushayar.com