Rais Farogh

unchi unchi shahnai hai

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
ūñchī ūñchī shahnā.ī hai
pāgal ko niiñd aa.ī hai
ek barahna peḌ ke nīche
maiñ huuñ yā purvā.ī hai
merī hañsī jañgal meñ kisī ne
der talak dohrā.ī hai
raushniyoñ ke jaal se bāhar
koī kiran lahrā.ī hai
ḳhāmoshī kī jhiil pe shyāmā
kañkar le kar aa.ī hai
dhyān kī nadiyā bahte bahte
ek dafa tharrā.ī hai
khet pe kis ne sabz lahū kī
chādar sī phailā.ī hai
mere uupar jaalā bunñe
phir koī badlī chhā.ī hai
ek añgūThī ke patthar meñ
āñkhoñ kī gahrā.ī hai
dīvāroñ par daaġh lahū ke
pathrīlī añgnā.ī hai
maiñ ne apne tanhā ghar ko
aadhī baat batā.ī hai
maiñ to us kā sannāTā huuñ
vo merī tanhā.ī hai
sub.h huī to dil meñ jaise
thakī thakī añgḌā.ī hai
ThanDī chaa.e kī pyālī pī ke
raat kī pyaas bujhā.ī hai
apne bādal kī kuTiyā ko
maiñ ne aag lagā.ī hai
Top Urdushayar.com