shahr kā shahr basā hai mujh meñ
ek sahrā bhī sajā hai mujh meñ
ka.ī din se koī āvāra ḳhayāl
rāsta bhuul rahā hai mujh meñ
raat mahkī to phir āñkheñ mal ke
koī sote se uThā hai mujh meñ
dhuup hai aur bahut hai lekin
chhāñv is se bhī sivā hai mujh meñ
kab se uljhe haiñ ye chehroñ ke hujūm
kaun sā jaal bichhā hai mujh meñ
koī aalam nahīñ bantā merā
rañg ḳhushbū se judā hai mujh meñ
aisā lagtā hai ki jaise koī
ā.īna TuuT gayā hai mujh meñ
aate jaate rahe mausam kyā kyā
jo fazā thī vo fazā hai mujh meñ