Rais Farogh

jangal se aage nikal gaya

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
jañgal se aage nikal gayā
vo dariyā kitnā badal gayā
kal mere lahū kī rim-jhim meñ
sūraj kā pahiyā phisal gayā
chehroñ kī nadī bahtī hai magar
vo lahar ga.ī vo kañval gayā
ik peḌ havā ke saath chalā
phir girte girte sambhal gayā
ik āñgan pahle chhīñTe meñ
bādal se ūñchā uchhal gayā
ik andhā jhoñkā aayā thā
ik iid kā joḌā masal gayā
ik sāñvlī chhat ke girne se
ik pāgal saaya kuchal gayā
ham duur talak jā sakte the
tū baiThe baiThe bahal gayā
jhūTī ho ki sachchī aag tirī
merā patthar to pighal gayā
miTTī ke khilaune lene ko
maiñ bālak ban ke machal gayā
ghar meñ to zarā jhāñkā bhī nahīñ
aur naam kī taḳhtī badal gayā
sab ke liye ek hī rasta hai
heidinger se aage russel gayā
Top Urdushayar.com