fazā udaas hai sūraj bhī kuchh niDhāl sā hai
ye shaam hai ki koī farsh-e-pā.emāl sā hai
tire dayār meñ kyā tez dhuup thī lekin
ghane daraḳht bhī kuchh kam na the ḳhayāl sā hai
kuchh itne paas se ho kar vo raushnī guzrī
ki aaj tak dar-o-dīvār ko malāl sā hai
kidhar kidhar se havāoñ ke sāmne aa.uuñ
charāġh kyā hai mire vāste vabāl sā hai
kahāñ se uThte haiñ bādal kahāñ baraste haiñ
hamāre shahr kī āñkhoñ meñ ik savāl sā hai
safar se lauT ke aa.e to dekhte haiñ 'faroġh'
jahāñ makāñ thā vahāñ rāstoñ kā jaal sā hai