kisī kisī kī taraf dekhtā to maiñ bhī huuñ
bahut burā nahīñ itnā burā to maiñ bhī huuñ
ḳhirām-e-umar tirā kaam pā.emālī hai
magar ye dekh tire zer-e-pā to maiñ bhī huuñ
bahut udaas ho dīvār-o-dar ke jalne se
mujhe bhī Thiik se dekho jalā to maiñ bhī huuñ
talāsh-e-gum-shudgāñ meñ nikal chalūñ lekin
ye sochtā huuñ ki khoyā huā to maiñ bhī huuñ
mire liye to ye jo kuchh hai vahm hai lekin
yaqīñ karo na karo vāhima to maiñ bhī huuñ
zamīñ pe shor jo itnā hai sirf shor nahīñ
ki darmiyāñ meñ kahīñ boltā to maiñ bhī huuñ
ajab nahīñ jo mujhī par vo baat khul jaa.e
barā.e naam sahī sochtā to maiñ bhī huuñ
maiñ dūsroñ ke jahannam se bhāgtā huuñ 'faroġh'
faroġh apne liye dūsrā to maiñ bhī huuñ