jū-e-tāza kisī kohsār-e-kuhan se aa.e
ye hunar yuuñ nahīñ aatā hai jatan se aa.e
log nāzuk the aur ehsās ke vīrāne tak
vo guzarte hue āñkhoñ kī jalan se aa.e
shahr-e-gul kāsa-e-darvesh banā baiThā hai
koī sho.ala kisī jalte hue ban se aa.e
dard kī mauj-e-subuk-sair meñ bah jā.ūñgā
chāhe vo jaan se chāhe vo badan se aa.e
sub.h ke saath ajab lazzat-e-daryūza-garī
rāt-bhar sochte rahne kī thakan se aa.e
aise zālim haiñ mire dost ki sunte hī nahīñ
jab talak ḳhuun kī ḳhushbū na suḳhan se aa.e