uupar bādal nīche parbat biich meñ ḳhvāb ġhazālāñ kā
dekho maiñ ne harf jamā ke nagar banāyā jānāñ kā
pāgal panchhī ba.ad meñ chahke pahle maiñ ne dekhā thā
us jampar kī shiknoñ meñ halkā sā rañg bahārāñ kā
bastī yūñhī biich meñ aa.ī asl meñ jañg to mujh se thī
jab tak mere baaġh na Duube zor na TuuTā tūfāñ kā
ham imlāk-parast nahīñ haiñ par yuuñ hai to yūñhī sahī
ik tire dil meñ ghar hai apnā baaqī mulk sulaimāñ kā
rañj kā apnā ek jahāñ hai aur to jis meñ kuchh bhī nahīñ
yā gahrāv samundar kā hai yā phailāv bayābāñ kā
ham koī achchhe chor nahīñ par ek daf.a to ham ne bhī
saarā gahna luuT liyā thā aadhī raat ke mehmāñ kā