ufuq ufuq na.e sūraj nikalte rahte haiñ
diye jaleñ na jaleñ daaġh jalte rahte haiñ
mirī galī ke makīñ ye mire rafīq-e-safar
ye log vo haiñ jo chehre badalte rahte haiñ
zamāne ko to hamesha safar meñ rahnā hai
jo qāfile na chaleñ raste chalte rahte haiñ
hazār sañg-e-girāñ ho hazār jabr-e-zamāñ
magar hayāt ke chashme ubalte rahte haiñ
ye aur baat ki ham meñ hī sabr-o-zabt nahīñ
ye aur baat ki lamhāt Talte rahte haiñ
ye vaqt-e-shām hai yā rab dil o nazar kī ho ḳhair
ki is samay meñ to saa.e bhī Dhalte rahte haiñ
kabhī vo din the zamāne se āshnā.ī thī
aur ā.īne se ab 'aḳhtar' bahalte rahte haiñ