mere lahū meñ us ne nayā rañg bhar diyā
sūraj kī raushnī ne baḌā kaam kar diyā
hāthoñ pe mere apne lahū kā nishān thā
logoñ ne us ke qatl kā ilzām dhar diyā
gandum kā biij paanī kī chhāgal aur ik charāġh
jab maiñ chalā to us ne ye zād-e-safar diyā
jaagā to māhtāb kī kunjī sirhāne thī
maiñ ḳhvāb meñ thā jab mujhe raushan nagar diyā
us ko to us ke shahr ne kuchh bhī diyā nahīñ
aur us ne phir bhī shahr ko tohfe meñ sar diyā
merā badan to radd-e-amal meñ ḳhamosh thā
merī zabāñ ne zā.iqa-e-ḳhushk-o-tar diyā
vo harf-āshnā hai mujhe ye gumāñ na thā
us ne to sab ko naqsh-ba-dīvār kar diyā
yuuñ bhī to us ne hausla-afzā.ī kī mirī
harf-e-suḳhan ke saath hī zaḳhm-e-hunar diyā
aḳhtar yahī nahīñ ki mujhe bāl-o-par mile
us ne to umr bhar mujhe ehsās-e-par diyā