Akhtar Hoshiyarpuri

phir ye hua ki log darichon se haT gae

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
phir ye huā ki log darīchoñ se haT ga.e
lekin vo gard thī ki dar-o-bām aT ga.e
kuchh log jhāñkne lage dīvār-e-shahr se
kuchh log apne ḳhuun ke andar simaT ga.e
vo peḌ to nahīñ thā ki apnī jagah rahe
ham shāḳh to nahīñ the magar phir bhī kaT ga.e
pur-haul jañgaloñ meñ havā chīḳhtī phirī
vāpas gharoñ ko kyuuñ na musāfir palaT ga.e
itne to rāste meñ bhī saa.e nahīñ mile
jitne ki log aa.e aur aa kar palaT ga.e
miTTī ke in charāġhoñ kī himmat to dekhiye
jo jaate jaate shab kī safoñ ko ulaT ga.e
jab ham se apnī zaat kā patthar na uTh sakā
'aḳhtar' ham aa.ine ke muqābil hī DaT ga.e
Top Urdushayar.com