Farooq Engineer

hai aisa waqt ki KHud par karam kiya jae

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
hai aisā vaqt ki ḳhud par karam kiyā jaa.e
zarūratoñ ko zarā apnī kam kiyā jaa.e
ho apnī āñkhoñ meñ har-dam vo ek hī chehra
so apnī āñkhoñ pe aisā hī dam kiyā jaa.e
qubūliyat kā sabab ek ye bhī ho shāyad
duā ke vaqt meñ āñkhoñ ko nam kiyā jaa.e
vo saath chhoḌ gayā to malāl kyā is kā
bichhaḌ gayā jo kahīñ us kā ġham kiyā jaa.e
kiyā hai ham ne zamāne kā ehtirām bahut
kuchh apnī zaat ko ab mohtaram kiyā jaa.e
ye dāstān-e-mohabbat to ḳhuub hai 'fārūq'
koī fasāna lahū se raqam kiyā jaa.e
Top Urdushayar.com