Akhtar Hoshiyarpuri

apna saya bhi na ham-rah safar mein rakhna

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
apnā saaya bhī na ham-rāh safar meñ rakhnā
puḳhta saḌkeñ hī faqat rāhguzar meñ rakhnā
ġhair-mahfūz samajh kar na ġhanīm aa jaa.e
dosto! maiñ na sahī ḳhud ko nazar meñ rakhnā
kahīñ aisā na ho maiñ hadd-e-ḳhabar se guzrūñ
koī aalam ho mujhe apnī ḳhabar meñ rakhnā
aa.ina TuuT ke bikhre to ka.ī aks mile
ab hathauḌā hī kaf-e-ā.ina-gar meñ rakhnā
mashġhale kibr-sinī meñ vahī bachpan vaale
kabhī tasvīreñ kabhī aa.ine ghar meñ rakhnā
bahte dariyāoñ ko sāhil hī se takte rahnā
aur jalte hue ghar dīda-e-tar meñ rakhnā
koī to aisā ho jo tum ko bachā.e tum se
koī to apnā bahī-ḳhvāh safar meñ rakhnā
koī bhī chiiz na rakhnā ki ta.āqub meñ haiñ log
apnī miTTī hī magar dast-e-hunar meñ rakhnā
jañgaloñ meñ bhī havā se vahī rishta 'aḳhtar'
shahr meñ bhī yahī saudā mujhe sar meñ rakhnā
Top Urdushayar.com