kis ke naġhme gūñjte haiñ zindagī ke saaz meñ
ik na.ī āvāz shāmil hai mirī āvāz meñ
mere ghar meñ chhā rahī thī shām-e-ġham kī tīrgī
jab ujālā ho rahā thā jalva-gāh-e-nāz meñ
dard-e-dil meñ yuuñ bhī jab hotī nahīñ koī kamī
kyā zarūrī hai izāfa husn ke andāz meñ
maiñ agar ḳhāmosh huuñ ḳhāmosh rahne dījiye
merī ḳhāmoshī se kyā kyā hādse haiñ raaz meñ
ham ne dekhe haiñ kuchh aise bhī asīrān-e-chaman
jin kī saarī umr guzrī hasrat-e-parvāz meñ
hañs rahā huuñ yaad kar ke ishq kī nādāniyāñ
sun rahā huuñ dāstāñ apnī tire andāz meñ
tum na hote is qadar rusvā zamāne meñ 'shajī.a'
soch lete ishq kā anjām agar āġhāz meñ