jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar saath diyā
baat ban jā.egī qismat ne agar saath diyā
aap uTheñge kab āġhosh-e-tamannā se mirī
zindagī kā shab-e-furqat ne agar saath diyā
saath degī na kabhī merī mohabbat merā
aap kī chashm-e-ināyat ne agar saath diyā
nahīñ ma.alūm ki anjām-e-mohabbat kyā ho
ġham kā ḳhud ġham kī haqīqat ne agar saath diyā
kahīñ gumnām na ho jaa.eñ vafā meñ merī
merī rusvā.ī kī shohrat ne agar saath diyā
bad-gumānī meñ mohabbat kā izāfa hogā
ḳhud mirā merī musībat ne agar saath diyā
chain se hogī basar apnī judā.ī meñ 'shajī.a'
un nigāhoñ kī sharārat ne agar saath diyā