Nawab Moazzam Jah Shaji

izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi

Nawab Moazzam Jah Shaji

iz.hār-e-hāl sun ke hamārā kabhī kabhī
vo bhī hue haiñ anjuman-ārā kabhī kabhī
maiñ aur arz-e-shauq mirī kyā majāl hai
hotā hai us taraf se ishārā kabhī kabhī
rāh-e-talab meñ aur koī rahnumā nahīñ
detī haiñ laġhzisheñ hī sahārā kabhī kabhī
suntā huuñ mujh se chhuT ke nahīñ vo bhī mutma.in
nazroñ ko DhūñDhtā hai nazārā kabhī kabhī
aayā shab-e-firāq vo hañgām-e-be-kasī
ḳhud apnā naam le ke pukārā kabhī kabhī
sach hai ki rāhateñ hī nahīñ husn-e-zindagī
ġham ne bhī zindagī ko sañvārā kabhī kabhī
yuuñ tai hue 'shajī.a' mohabbat ke rāste
baḌh baḌh ke manziloñ ne pukārā kabhī kabhī
Top Urdushayar.com