har vo hañgāma nā-gahāñ guzrā
do diloñ ke jo darmiyāñ guzrā
tum kisī ke nahīñ zamāne meñ
ham ko aisā bhī ik gumāñ guzrā
jo mohabbat meñ ham pe guzrā hai
tum pe vo vaqt abhī kahāñ guzrā
naqsh-e-pā rāsta dikhāte haiñ
kis kī manzil se kārvāñ guzrā
dil kī be-tābiyoñ pe vo chup the
merā hañsnā unheñ garāñ guzrā
kyā huā gulistāñ meñ kyā ma.alūm
is taraf se bhī kuchh dhuāñ guzrā
zaḳhm-e-dil muskurā rahe haiñ 'shajī.a'
shāyad ab mausam-e-ḳhizāñ guzrā