Akhtar Hoshiyarpuri

harif-e-dastan karna paDa hai

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
harīf-e-dāstāñ karnā paḌā hai
zamīñ ko āsmāñ karnā paḌā hai
nikal kar aa ga.e haiñ jañgaloñ meñ
makāñ ko lā-makāñ karnā paḌā hai
savā neze pe sūraj aa gayā thā
lahū ko sā.ebāñ karnā paḌā hai
bahut tārīk thiiñ hastī kī rāheñ
badan ko kahkashāñ karnā paḌā hai
kise ma.alūm lams un uñgliyoñ kā
havā ko rāz-dāñ karnā paḌā hai
vo shāyad koī sachchī baat kah de
use phir bad-gumāñ karnā paḌā hai
maiñ apne saare patte faash kartā
magar aisā kahāñ karnā paḌā hai
safar āsāñ nahīñ haraf o qalam kā
hameñ tai haft-ḳhvāñ karnā paḌā hai
thā jis se iḳhtilāf-e-rā.e mumkin
usī ko mehrbāñ karnā paḌā hai
saf-e-a.adā meñ apne bāzuoñ ko
mujhe 'aḳhtar' kamāñ karnā paḌā hai
Top Urdushayar.com