safīna ġharq huā merā yuuñ ḳhamoshī se
ki sat.h-e-āb pe koī habāb tak na uThā
samajh na ijz ise tere parda-dār the ham
hamārā haath jo tere naqāb tak na uThā
jhiñjhoḌte rahe ghabrā ke vo mujhe lekin
maiñ apnī niind se yaum-e-hisāb tak na uThā
jatan to ḳhuub kiye us ne Tālne ke magar
maiñ us kī bazm se us ke javāb tak na uThā