dil aur tarah aaj to ghabrāyā huā hai
ai be-ḳhabarī chauñk koī aayā huā hai
sulge hue bose ye havā ke haiñ fanā ke
dil ḳhauf se har phuul kā tharrāyā huā hai
tā-ki na nigāhoñ ko andhere nazar aa.eñ
ā.īna ujāloñ ne ye chamkāyā huā hai
ai raat na fāḳhir ho sitāroñ kī chamak par
vo chāñd bhī terā hai jo gahnāyā huā hai