dil-girafta huuñ jahāñ-shād huuñ maiñ
ek majmua-e-azdād huuñ maiñ
terā merā hai gumāñ kā rishta
tū hai merī tirī ījād huuñ maiñ
tujh ko ye ġham ki giraftār hai tū
mujh ko ye ranj ke āzād huuñ maiñ
koī rasta hai na koī manzil
gard huuñ aur sar-e-bād huuñ maiñ
tan-e-tanhā kā huuñ apne nāsir
ḳhud ko pahuñchī huī imdād huuñ maiñ
sirf maiñ apnī kahānī hī nahīñ
sun mujhe terī bhī rūdād huuñ maiñ
merī tāmīr kā mujh par hai khaḌā
bahut khodī huī buniyād huuñ maiñ