sāhil-e-intizār meñ tanhā
yaad vo lahar lahar aa.e mujhe
dasht-e-dīvāngī ke Tīloñ par
raqs kartī havā bulā.e mujhe
ajnabī mujh se aa gale mil le
aaj ik dost yaad aa.e mujhe
bhuul baiThā huuñ maiñ zamāne ko
ab zamāna bhī bhuul jaa.e mujhe
ik gharauñdā huuñ ret kā paiham
koī Dhaa.e mujhe banā.e mujhe
ek harf-e-ġhalat huuñ hastī kā
nestī kyuuñ na phir miTā.e mujhe
daf.atan mere rū-ba-rū aa kar
aa.ine meñ koī Darā.e mujhe
āñdhiyāñ kyuuñ mirī talāsh meñ hoñ
ek jhoñkā hī jab bujhā.e mujhe
jaise ik naqsh-e-nā-durust ko tifl
koī andar se yuuñ miTā.e mujhe
raakh apnī umañg kī huuñ 'razā'
aa ke jhoñkā koī uḌaa.e mujhe