maiñ us kā naam ghule pāniyoñ pe likhtā kyā
vo ek mauj-e-ravāñ hai kahīñ pe ruktā kyā
tamām harf mire lab pe aa ke jam se ga.e
na jaane maiñ ne kahā kyā aur us ne samjhā kyā
sabhoñ ko apnī ġharaz thī sabhoñ ko apnī baqā
mire liye mire nazdīk koī aatā kyā
ubhartā chāñd mirā ham-safar thā dariyā meñ
maiñ Dūbte hue sūraj ko muḌ ke taktā kyā
parinde ghar kī muñDeroñ pe aa ke baiTh ga.e
maiñ ajnabī thā ishāra koī samajhtā kyā
firāq o vasl to tasvīreñ un ke naam kī haiñ
maiñ in meñ rañg kisī ke lahū se bhartā kyā
maiñ apne ghar meñ nahīñ thā magar kahīñ bhī na thā
udhar se mujh ko guzarte kisī ne dekhā kyā
tamām shahr ravāñ hai mire ta.āqub meñ
maiñ aap kyā mire ghar kī taraf ko rastā kyā
ye raushnī kabhī pahle na thī yahāñ 'aḳhtar'
sitāra raat kī palkoñ pe koī chamkā kyā